NCERT Rationalisation ke piche chipe hue kuch important facts

HomeBlogNCERT Rationalisation ke piche chipe hue kuch important facts

Become a member

Get the best offers and updates relating to Liberty Case News.

― Advertisement ―

spot_img

Hal hi me ek bhut bdi khabar aai k NCERT ne Science ki textbooks me se kuch key concepts aur segments, khaskr theory of evolution aur periodic table, hta die hai. India me dharamnirpekshta aur scientific soch ki maut ki ghoshna krne ke lie usual suspects ne social media ka sahara liya. Is story ko poori duniya me aur al Jazeera, Deutsche welle and the noted scientific journal nature me attention

Pr sahi mayno me chinta ka Vishay kya tha, ek unverified information jo social media se mili aur fir use mainstream media pr dikha diya gya. Ek ke baad ek ye khabar bdti hi gae, jisne glt information failai aur logo me confusion create ki.

Is khabar ne na hi sirf NCERT ki reputation pr effect kiya sath hi sath desh ke education system pr bhi swal uthaya. Government pehle se hi education system ki jo negative chavi bni hai usko thik krne ki koshish me juti hai. Abhi hal hi me hue kuch debates me Darwin theory of evolution pr question uthaya jise curriculum me add krna chahiye.

Rationalism ke piche ka fact kya tha?

Textbooks ko update krna NCERT ka regular process hai, pr ye smjhna zruri hai ki ye changes random nhi hote hai. Ye changes specific context me kiye jate hai.

Textbooks ko desh ke education system ke according time to time revise kiya jata hai. Is mamle me National Education Policcy – NEP , 2020 ne path pradarshn kiya jha, content load ko km kre aur experimental learning ke liye creative mindset ke sath opportunities provide kre.

Pandemic ke dauran Teaching Time ka loss hua aur learning me bhi haani hui jis se students pr load bdh gya. Ye concern Parliamentary Standing Committee on Education ki trf se bhi express kiya gya tha.

Is liye students ke loss ko pura krne ke liye rationalism ka process kiya gya

Critics ki trf se kya concerns raise kie gae?

Isme arop lgaya gya hai ki content me changes politically motivated hai. Aur iska purpose india ke itihaas, sanskriti aur diversity se aise kuch pehluon ko mitana hai jo shasan ki vichardhara ke opposite hai.

Isme kha gya hai ki is process me transparency ki kami hai aur teachers, students jaise hitdharko ke sath pramarsh nahi kiya gya hai.

Sarkar ka isme kya drishtikon hai?

Periodic table ko context se nahi htaya gya hai blki ise class 11 ki textbook me Unit 3 me include kiya gya hai.

Darwin’s theory of evolution ko kafi detail me class 12 ki textbook ke 6th chapter me cover kiya gya hai.

Class 11 ki political science ki textbook me se Maulana azaad ke chapter ko htana rationalisation ka process nahi hai.

Conclude kre to changes ko tbhi appreciate krna chahiye jb vo kisi facts pr based ho. Glt afwaho se transparency ke abhav se aise process kmzor ho jate hai.

Aasha hai ki apko rationalisation ke bare me poori information is video me apko mili. Desh aur duniya ki baki khbro ke liye subscribe kriye airnews channel ko.

#ncert #ncertrationalisation #dailynews #socialmedianews

RATE NOW
wpChatIcon