Social media , jaha lakho karodon log roj naye naye trend follow karte hai vahi kitaabon ko padhne ka aur usse social media par dusro ko recommend karne ka trend bhi kafi chal raha hai ,
halanki kitaabon ko padhna ya keval photo click kar ke social media platform par upload karna akhir ye trend kaha tak simit hai ye to aap sabhi bhali bhaanti jante hai
kintu / parantu isi trend ke chalte books ki bikri me khasi tezi aayi hai , social media ke chalte hi ye vridhi jada dekhne ko militi hai
kai writero se inspire hokar kai logo ne khud ki apni book bhi likh rahe hai aur ise social media par online sell kar rahe hai
agar akadon ki baat ki jaye to
pratidin 2.16 million books bikatee hain. har ghante 90,250 books bikatee hain. har minat 1,505 books bikatee hain.
amazon aur flipkart jaise online bazaron ne kitabo ki bikri me vridhi laane me ek bada kadam uthaya hai online madhyam se aap manchahi kitaab apne ghar order karva sakte hai
kitab apko roj ek naya jeevan rahsya deti hai agar aap social media par reels aur shorts content ke changul me buri tarah see phanse hai aur chahte hai ki aapki bhi life disciplined ho to aapko bhi daily 10 pages padhna chahiye ,
iske lie aap books ke sath pass ke hi kisi reading room ya ghar me ekant dhudh sakte hai,
aaie jante hai bolywood filmo ke writer avinash ji se vo kya kahte he kitaabon ke bare me
#bollywood #bollywoodwriter #books #socialmedia #book reading