Health tech startup Curelink ne ek whatsapp link service ke zariye Rs 29 Crore funding raise ki, jise elevation capital aur venture highway jese bade investors ne lead kiya, yahi nahi is round Paytm ke founder Vijay Shekhar Sharma
Aur Tata1 mg ke Prashant Tondon le hissa liya.
Magar curelink ne aisa kya banaya ki unhe $ 3.5 million dollars yaani almost Rs 29 Crore ki funding mili?
Curelink ne ek Whatsapp link service banayi jis de doctors apne patients ke saath whatsapp par medical services ke liye communicate kar sakte hai.
Founders Aman Singla Aman Singla aur Divyansh Jain ne 2021 me dekha healthcare industry mein 90% out of clinic interaction whatsapp par ki jaati hai Isi opportunity ko sieze karte huye unhone in founder ne apni MNCs ki job chir Cure Link ki service shuru ki. Sirf ek masksad se ki doctors ke liye patient healthcare ko online accessible bana paye.
Curelink ne apni services ki shuruat december 2021 mein gurugram ke gynaecologists ke saath milkr shuru ki thi, gurugram ke 70% gynaecologists online platform ka istemal apne brand ke under patients ki madat karne ke liye kar rahe hai
Curelink doctor aur patient ke beech baat-chit ko aasaan banata hai.whatsapp support service ki madat se you can now visit your doctor anytime vo bhi all within whatsapp.
Aman Singla, co founder, curelink ke mutabiq “ aaj 200 million log non curable disease ke victims hai jese ki hypertension, pcos and diabetes, aur unme se jo log bujurg hai unke liye ek dusra app download karke apni health issues manage kar pana possible nahi, halaki whatsapp ka use karke apne doctor se baat karna unke liye aasaan hai”
Ab Curelink sirf doctor patient platform hi nahi balki nutrition health platform me bhi apni services dega. Curelink general advices jese “change your diet” ko actionable steps mein badalta hai, virtual care team ke through curelink time bound doctors ko condition specific queries ka jawab dene mein help karta hai, taaki quality healthcare jyada logo tak pahunch paye.
Magar cure link apne 29 crore ke funds ko use kaise karega?
Ye company growth and wellness professionals’ mein invest karne ka plan hai. Curelink gurugram aur bhopal mein currently active hai aur delhi NCR mein expand karne ki planning shuru kar chuka hai.
Next tier cities jese lucknow aur jaipur mein bhi 2022 ke ant tak further expand karega.
Aapko kya lagta hai whatsapp ki help se ek doctor accessible kese ho payega?
Agar aapko ye inspiring startup related stories valuable lagi to hame comments mein bataye, and don’t forget to like and subscribe to Air News.
#Business #healthcare # startup# medical # Case Studies