2000 ke note waapis lene ka kya tha asali kaaran?

HomeBlog2000 ke note waapis lene ka kya tha asali kaaran?

Become a member

Get the best offers and updates relating to Liberty Case News.

― Advertisement ―

spot_img

RBI ne haal hi naye 2000 ke notes band karne ki decision liya.

Par Note Bandi ke 6 saal baad RBI ko yeh kadam kyon uthana pada?

Iska kaaran hai RBI ki Clean Note Policy.

Saal 1999 me start ki gayi Clean Note Policy ke tehat RBI ka aim tha ki achi quality ki currency notes and coins logo ko available ho.

RBI ne banks ko instruct kiya ki sirf achi quality ke notes public ko provide ho and puraani notes and coins ko recycling ke liye bhej diya jaaye.

Nov 2016 me 500 aur 1000 me demonetization ke faisle se economy par kuch samay ke liye negative impact hua.

Logo ko cash ki problems aane lagi.

Toh economy ko vaapas raftaar me lane ke liye,

Sarkaar ne nikaala is ek Temporary relief 2000 Rupay ke Naye Notes issue kiye.

Saath hi RBI ne 4-5 me saal me 2000 ke notes vaapas lene ki samay seema bhi jaari ki.

Isiliye saal 2019 ke baad 2000 ke notes ki printing band kar di gayi.

Waqt guzrne ke saath 2000 ke notes ki circulation me kami aane lagi.

Agar data dekhe toh 31 March 2018 ke din 6.73 Lakh crore ki total market circulation thi aur 2000 ke notes ki hisse daari kareeb 37 % thi.

 Vahi 31 March 2023 ko number 3.62 lakh crore tak reh gya. 

Yaani total market circulation me se  2000 ke notes ka share sirf 10.8% reh gye.

RBI ke according zyadatar log transactions ke liye 2000 ka note use nahi kar rhe.

Toh RBI ne apne clean note policy ke tehat 2000 ke notes ko circulation se bahr karne ka faisla liya.

Badhti hui bank transactions aur RBI ke steps hame ek developed nation ke raste par lekar jaa rhi hai.Banks me jyada paisa aane se future currency ki circulation increase hogi aur logo ko loans me aasani hogi.

Isi beech RBI Governor  Shaktikanta Das ne kaha “2000 Rupee notes ki circulation band karne ka decision, RBI ke currency management operations ke tehat liya gya hai”

Saath Mr. Das ne ye jodte hue kaha ki “RBI sabhi tareeke ki issues ko tackle karne ke liye ready hai.

 Unhone dohraya ki “Banks ko advice di gayi hai ki hai ki voh zaruri arrangements kare taaki logo ko tapti dhoop me khada na hona pade”

Stock broking company Arihant Capital Markets ke MD Arpit Jain ne economic times me di gyi interview me kaha “RBI ne spasht kiya hai ki 2000 ke notes apni 4-5 saal ki life span tak pahunch chuke hai,iske ilava,central bank  ki clean note policy ek significant factor play kar sakti hai notes ki waapsi me”

 
Ghar,Desh aur duniya ki khabharo se jude rehne ke liye subscribe kijiye Air News ko.

#Notebandi #Demonetisation #RBI #economy #2000noteban

RATE NOW
wpChatIcon