10 Rupaye ki bottle bech banaya 250cr ka business

HomeBlog10 Rupaye ki bottle bech banaya 250cr ka business

Become a member

Get the best offers and updates relating to Liberty Case News.

― Advertisement ―

spot_img

10 Rupaye ki bottle bech banaya 250cr ka business 

Sugar waali chemical drinks ko replace karna aur 

Desi Flavour Drinks ko Promote karna.

Yeh Simple Strategy se Lahori ne banaye 250 crore ke Business vo bhi Sirf 10 Rupay ki bottle bech kar.

Miliye Punjab ke Saurabh Munjal aur unke cousins and his two cousins Saurabh Bhutna and Nikhil Doda se.

After completing their studies they were into their respective jobs. Par vo hamesai se hi khud ka kaam karna chahte the.

Nikhil  Apne Ghar me naye naye Food Experiments karte the.

Ek din unhone ghar par desi jeera drink banayi aur apne cousins ko pilai.

Teeno Bhaiyo ko yeh drink unique lagi ki isko commercially sell karne ka faisla kiya.

 Saal 2017 me Lahori Jeera brand launch hua with a vision to introduce Desi-Flavoured Drinks in India. 

Yeh ek non alchoholic drink hai jo ki ghar ke ingredients se inspired hai.

Yeh baaki ki drinks jaise Tea,Coffee, Cold Drinks se hatkar aapko ek natural aur unique taste option provide kar rha hai.Vo bhi affordable daam par.

Saal 2017 meLahori ne kareeb 1 lakh bottles bana ne se shuruaat ki thi aur aaj voh ek din me 50Lakh se jyada bottles ka production kar rha hai.

Lahori ne saal 2022 me 250 crore ka Gross Revenue kamaya. Aur next 3 saalo me 1000 crore tak ka revenue estimate kiya gaya hai.

Saal 2021 aur 22 me Investors se funding bhi mili.

Dec 2021 me Lahori ne 7.8 million dollars ki funding raise ki.

Wahi Sept 2022 me Lahori ko kareeb 15 million dollars ki funding mili.

Lahori ki Latest Valuation 107 Million Dollar yaani kareeb 9 lakh crore Rupaye hai.

Yeh Desi-Drink, bade brands jaise Pespi, Appy Fizz aur Rasna ko kaante ki takkar de rha hai aur kuch had tak isme kaameyaab bhi ho rha hai.

Magar Lahori Drink me aisee kya khaas baat jo iske baaki competitors me nahi hai?

Lahori ka Unique Sell Points hai inke desi homemade flavours jo ki bilkul natural hai.

Lahori basically Rock Salt ko kha jaata jo in sab drink me daala jaata hai.

Yeh drinks 4  alag alag flavours me available hai.

Zeera, Nimboo, Kacha aam and Shikanji.

Magar sabse famous iska Zeera flavor hi hai.

Lahori filhaal North India me achi demand me hai lekin is saal voh 2 manufacturing units West aur East me bhi la rha hai in areas me expand karne ke liye.

Lahori ke iliava abhi Desi-Drink Segment koi aur bada player nahi hai. Agar koi naya player aata hai toh voh vakt hi batayega.

Agar aapko kisi home grown brand ke bare me pata hai toh bataiye comments section me aur ham aapke comments ko answers karenge.  

Umeed karte aapko is video Business ke bare me aur jana.

Desh aur Duniya ki baaki khabaro ke dekhne ke Subscribe kariye Airr News ko.

#Business #Indian #Startup #Startup Stories #News

RATE NOW
wpChatIcon