India and United Arab Emirates (UAE) ke beech Local Currency Settlement System
(LCSS) ka establishment bilateral economic ties ko badhane ki disha mein ek mahatvpoorn kadam hai. Samjhaute ka uddeshy border paar len-den ke lie Indian rupee (INR) aur UAE Dirham (AED) ke upyog ko badhava dena hai, jisse dono desho mein traders ke lie exchange rate, settlement time aur transaction cost kam ho jaega. Iske alava, India ke Unified Payment Interface (UPI) ko UAE ke Instant Payment Platform (IPP) ke sath jodne aur any vitteey sahayog par inki economic partnership ko aur majboot karna hai. Kyunki ,India and UAE dono desh diplomacy, vyapaar aur raksha sambandho ko badhava de rahe hai, jisme aage badhne ke nae raste talashna aur aapsi chunautiyon ka samadhan karna shamil hai.
Bilateral trade ko mahatvpoorn star par pahunchane ke sath, India aur UAE dono ko apni economic partnership ko aur expand karne ke tareeke talashane chahie. Ek – dusre ke bajaro tak pahunch ko suvidhajanak banakar, vyapaar badhaon ko door karke aur main sectors mein investment ko protsahit karke ise hasil kia ja sakta hai.
India ke fourth – largest energy supplier ke roop mei, UAE India ki energy demands ko poora karne mein mahatvpoorn bhumika nibhata hai. Is sahyog ko majboot karne ke lie dono desh renewable energy projects, oil exploration aur technology transfer mein joint ventures talash sakte hain. Is tarah ke sahyog na keval Bharat ke lie energy ki security sunishchit karenge balki sustainable development aur climate mein changes ko tackle krne mei bhi yogdan denge.
India , UAE ke beech defense exercises area mein suraksha badhane ke prati unki commitment ko demonstrate karta hai. Joint Military Drills, khuphiya jankari saajha karne aur counter-terrorism efforts mein nirantar sahyog se Gulf Regions mein sthirata aur shanti banae rakhne mein madad milegi. On the contrary, dono desh defense manufacturing partnership ki opportunities explore kr sakte hain, jisse technology transfer aur jobs create ho sakti hai.
UAE mein large Indian Migrant community dono desho ki economies mein mahatvpoorn yogdan deta hai. Yah workers ke welfare aur rights ko sunishchit karne ke lie, dono desho ko labor issues ke solution, working conditions mein improvement aur skill development programmes ko badhava dene ke lie milkar kaam karna chaahie. Transparent aur fair recruitment process, UAE mein Indian workers ke hito ki raksha karne mein madad karenge.
Iske ilava healthcare ki bhi apni ek importance hai. India aur UAE dono desh Medical Research, Healthcare infrastructure aur pharmaceuticals ke kshetr mein sahyog kar sakte hai. By sharing expertise , joint research projects ka sanchalan karne aur healthcare partnership mein medical services ko increase krke dono deshon mein public ki health improvement mein yogdan milega.
1972 mein diplomatic ties ki sthapana ke baad se India- UAE ke bilateral ties kafi badh gae hai.Apni takat ka labh uthakar aur aapsi chunautiyon ka samadhan karke, India aur UAE ek dynamic aur comprehensive strategic partnership bna sakte hain jo dono desho ko benefits pahunchate hai aur regional aur global prosperity mei yogdan dete hai.
#IndiaUAETradeExpansion #CEPAImplementation #BilateralEconomicPartnership #TradeBarriersRemoval