IPL har saal India me ek tyohaar ki jaise manaya jaata hai. Stadium, TV Screens and ab Mobile phone, har jagah bas IPL ka dewaanapan ubhar kar aaya hai.
CSK ne IPL jeet liye ye ham sabko pata hai magar
Kya aapko pata hai IPL Paise kaise kamata hai?
Agar nahi pata toh is video ko dekhiye aur jaaniye ki IPL me paise kamaye kaise jaate hai.
Video ke end tak yeh bhi jaanege ki kaise Food Delivery companies IPL ke Zariye apna business doguna kar payi vo bhi bina ads par kharch kiye
Pehle dekhte hai IPL ki Value aur revenue ki.
IPL ke Brand Value almost $10 Billion Dollars ki hai. Yeh league har saal $300 million dollars India ke GDP me contribute karti hai.
IPL ke zariye bahut alag alag ways me paise kama rhe hai.
Toh IPL ki sabse pehli earning aati hai TV Viewer Ship se
BARC ke Data ke according Television me viewer 266 Billion Minutes ki consumption show ki IPL ke Pehle 48 matches me. Jo Covid season ke baad ki highest viewership rahi.
TV ke iliava IPL ke zariye logo participate karwaya jaata hai Fastasy Sports gaming apps me.
Fantasy Sports Gaming App me 2023 ke IPL dauran 30-35% growth aayi.
Sirf 2023 ka estimated revenue hi kareeb 3000 crore tak pahaunch gya.
Fantasy Sports me viewer sirf match dekhta nahi usme participate bhi karta hai.
Is participation ke wajah se hi logo ka IPL ke Taraf interest aur increase ho gya.
Magar sabse badi baazi maari hai Food Delivery Apps ne.
When you are were hooked on to TV screen watching your favourite teams Swiggy was getting 212 orders every minute.
Zomato app ko Feb 23 me 3 million Downloads mile aur March 23 me ye figure 4 million downloads tak pahunch gya.
Dominos Pizza ka app par 2 million se jyada downloads ho gya Feb se April tak.
Aur yeh sab karne ke liye Food Delivery Apps ko ads par spend karne ki zarurat hi nahi padi.Magar Kyon?
Bina ads ke bhi apna business almost 3 guna grow karne ke piche ek simple sa kaaran tha.
Aur kaaran hai IPL ka Event Based Business Model.
Event Based Business Model me jab main event ki demand high ho toh uske saath ke complementary products aur services ki demand apne aap increase ho jaati hai.
Yeh aisa hai jaise aap Film Dekhne jaate ho toh popcorn aur cold drinks purchase karte ho.
Theek Vaise hi jab IPL aaya toh log apne family aur friends ke saath match enjoy karte vakt apne ghar par order bhi karte gaye.
Is tarah Food Delivery Apps ki demand bina ki marketing ya advertising expense kiye IPL ke wajah se increase ho gyi.
Aise aur konse business IPL ke wajah se grow kiye bataiye comments me. ham padhkar ,unka jawab denge.
Umeed karte aapko is video Business ke bare me aur jana.
Desh aur Duniya ki baaki khabaro ke dekhne ke Subscribe kariye Airr News ko.
#
#IPL #ads #TV_Viewer #FoodDelivery